Saturday, August 25, 2007

Phol ki manad larki!

Shano aik nazuk si larki hai...phol ki manand...us k chand khawab hain, mgr kia pata agli zindagi main us ki kismat usay kahan ley jaepapoo usay bohta dil-o-maan sey chahta hai mger woh nazakat ko dil dey chuki hai....us ka khawab haik woh bhi shaboo aunti ki tarhan poliece main bharti ho jae mgr us ka baap Undoo usay PCO khol kar dena chahta hai takay buray baap k liay kuch rupay kama kar lae...

Ab Shano ghar chor k Gugrat chali jati hai aur wahan se Bengal ka rukh kerti hai. Bengal main us k nana ki halwai ki dukan hai jahan wo as a receptionist kaam shoro ker daiti hai. Ab Shano ghar chor k Gugrat chali jati hai aur wahan se Bengal ka rukh kerti hai. Bengal main us k nana ki halwai ki dukan hai jahan wo as a receptionist kaam shoro ker daiti hai. Kuch arsa wahan job kerne k baad use wahan Kalu milta hai jo aik Balochi larka hai jis k baal ghungryale aur rung kala hai. Kalu aur Shano aik dusre ko chahne lagte hain.

Shano apne nana se Kalu ki baat kerti hai to nana ye keh ker inkar ker daite hain ke kalu ne un k 50 rupay daine hain. Ab shono ka dil tut jata hai aur woh safeguard se hath dho baithti hai..

Aik din Shano jab mela daikhne jati hai to use wahan Nazakat milta hai jo us k gham main pagal ho ker circus main kaam shoro ker daita hai. Yeh dekh kar Shano i ankhain nam ho jati hain...aur......aur us ko apni kismat par aik bar phir rona ata hai...mgr woh bebas hai ar charo o nachaar ronay k ilawa aur kar bhi kia sakti hai. Woh apnay aap ko sunbhaal kar chalti jati hai aur "maut k kooan" ka ticket kharidti hai jahan Nazakat three wheel cycle ko "maut k kooan" main chalanay k naakaam koshish kar rha hota hai aur bar bar gir jata hai aur log usay dekh kar hanstay hain...Yeh dekh kar sirf shano ro rhe hoti hai...woh mun mor leti hai..dopatay ko dantoon k unde dal kar khambay par sir rakh kar zor zor say ronay lagti hai...us k ronay say itnay jhatkay lagtay hain k khamba apni jaga say hat jata hai aur stage toot jata hai aur tent logoon par gir jata hai aur afra tafree much jati hai...

Isi afra tafree main police pohanch jati hai magar Shano moqa-e-wardat se faraar ho jati hai aur Khoprapar ka ticket kharid ker Mona bao chali jati hai.

Monabao a ker SHANO ne daikha:

Wahan ka khamba waisa hi lamba
Wahan ki billi waisi hi kali
Wahan ka machar waisa hi lichar
Wahan ka lota waisa hi mota.

Mona bao main SHANO Man Mohan Singh ki rehaish ga pe jati hai aur wapis a jati hai kionkey wahan bare bare kutte baithe hotay hain aur kutton se to eaise hi SHANO ki................

Usay ye dekh ker bohat afsos hua k uss k ticket k paisay zaya ho gaey.... in paison say woh nisvaar khareed ker cigerett pee sekti thi aur cuppi charha sekti thi jis ke madad say us ko gham bhulanay may dharas mil sekti thi

Ab woh apni purani dost Bano qudsia k paas jati hai aur apna dukhra sunati hai. Bano use Dogar Sabundani se milwati hai jo aik drama nigar hai.

Dogar ko wo chehra mil jata hai jis ki us ko barson se talash thi. Dogar Bano ki zindagi pe aik kahani likh dalta hai aur us drama main leading role Shano ka hota hai. Shano din ba din mashur hoti jati hai aur us ki zindagi khushion ka khazana ban jati hai.Shano ab ameer ho jati hai aur Liyari Nadi ke paas aik kothi tameer kerti hai. Is kothi pe Rs 1600 lagat ati hai. Is makan ko dekhnay k liay muhalay bhar say log kareeb kareeb say atay hain....Shano bariu khush hoti hai mgr us nadan ko kia pata k Dogar Sabundani ki biwi us say kitna jelous hai...aur us k khilaf aik sazish tayar kar rahi hai.

Sazish kuch ye hoti hai ke wo SHANO ko miss calls mar mar ke tang kerne lagti hai aur akhir kar SHANO tang aa ker apni PAKTEL ki sim tor daiti hai.
Ye daikh ker Mrs Dogar bohat khush hoti hai magar usay ye malum nahi hota ke SHANO ne INSTA ka connection kharid lya hai jis se wo din raat lagataar Dogar Sabundani se batain kerti hai.

Ab Mrs Dogar SHANO ke nashtay main jamal gota mila daiti hai jis ke khatay hi SHANO bimaar ho jati hai aur Commander Safeguard ki madad hasil kerti hai. Commander safe guard chutian mananey lalokhait gaya hota hai...Shano bari pareshaan hoti hain aik din Nazakat ka sms ata hai aur woh usay "Hashmi Isbagol" khane ka mashwara deta hai.

SHANO "Hashmi Isbagol" ki talaash main maari maari phir rhi hoti hai ke achanak us ko ISAB Khan sahab ka ghar milta hai aur SHANO badhawasi main usay Isabgol ki dukaan samajh baithti hai. Jab SHANO us ghar ki bell daiti hai to ISAB Khan sahab bahir atay hain jo SHANO ke abbu ke bachpan ke dost nahin hote.....
Isab Khan sahib k ansoon main ankhain a jati hain k woh Shano jis ka baap Isbagol main phonkain mara karta woh aaj isbagol ki aik chamach k liay tars rahi hai. Isab Khan sahib us ko under betha kar isbagol pani k sath detay hain aur us k ghar phone kardetay hain aur us kay abaa ko bula letay hain aur phir Isab Khan Sahib aur Shano kay aba dono mil kar Shano ki khub laytay hain ...aur kehtay hain k woh ghar chor kar kion bhagi...jab beti ghar say bahir nikalti hai to sirf khud hi nahe jati balkay ghar ki izzat bhi saath key kar jati hai jo ghar walon ki amanat hoti hai.

Shano k aba girgiraa kar shano say kehtay hai k

"kia tu jo izaat laey kar gaye thi sath lae hai...kahi wahi to nahe chor aye hamari laag, kisi nay sach kaha hai k jab aulaad jawan ho jae to ghar walon ko nahe balkay dunia ko pata chalta hai"

Shano ki ankhon main ansoo bhar atay hain aur woh ronay lagti hai...background main violin bajnay lagtay hain aur sab ko lagta hai k woh star plus dekh rhay hain.

Shano k aba ney scene ko ur gamgeen bananey k liay siskian bhartay huay ukhray alfaaz main rotay huay kaha k

"Larkian to prayee ghar ki amanat hoti hain gin ko un k ghar ley kar jana un k maan baap ki zimadari hoti hai...aur to apni marzi say ghar chor kar chali gaye"

(Shano k aba ney apnay aap ko sumbhaltay huay kaha)

"Khud to aa gaye magar apni izaat wahi chor aye...log mujhay anay detay hain"

..Isab Khan sahib Shano k aba k kandhay par hath rakh kar halka sa dabatay hain aur apnay ansoo saaf kar k kehtay hai

"Hosla karo dost...akhir Shano bhi to hamari hi beti hai, hamaray paas nahe aye gi to...to...to (Isab Khan sahib ki ankhon main phir ansoo aa gaye)...to kahan jae gii"

is k baad shano ka abaa hosh o hawas main nahe thay...unhain kuch samajh nae a raha tha...beti se khata ho jae to zamaney bhar main badnami hoti hai...beti ka gham bohat bara boj hota hai aur is gham ki aag main maan baap sari zindagi jatay rehtay hain. Shano ka abaa ghutnoon ka bal gir jata hai aur apni jholi pehlaa kar Shano ko cheekh kar boltay hain

"MUJHE Y IZAAT CHIAYYY!!!! IZAAATTT hannn IZAAAAT WOHI IZZAT JO TUM NAJANEY KAHAN CHOR AYE HOOO!"

Ab shano k jazbaat kaboo nahe rehtay...woh haar jati hai zamaney k agay...us k liay ab koi chara nahe...Apnay maqsad se har kar woh faisla kar leti hai k apnay baap ko apni izat wapis lota dey. Woh apnay palu k konay main bhandii hiui gitaan kholti hai aur aik chabi apnay aba k agay brhaa deti hai...Aba ki nazrain oper uthti hain aur herangee k alam main woh oper dekhtay hain....aur sard awaz main boltay hain

"Yeh kia hai"

Shano haya k alaam main bolti hai....

"Yeh hamaray ghar ki purani almaari ki chabi hai jis main ama apnay jaheez rakha karti hain"

Shano k aba pochtay hain

"Par is ka main kia karon???"

Shano ansoo saaf kartay huay dhemi si awaaz main kehti hai k

"Yahi woh almaari hai jis main aap ki izaat hai...main ne wahan rakhi thi ap say chupa k aur chaabi sath ley gaye thi"

Shano k aba ki ankhoon main chamak a jati hai aur woh chabi pakar kar kharay ho jatay hai...chabi ko dekhtay hain aur phir shano ko...phir Isab Khan sahib ko dekh kar muskarany lagtay hain aur zoor se chilla uthay hain k

"HURAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAHHH!!!" "YOOOOOHOOOOOO" "WOOOOOO"

...woh nachnay aur khusi k maray ganay gani lagtay hain aur apnay ghar ki taraf dor laga detay hai aur rastay hain gatay jatay hai

"MERI IZZAT MIL GAYE MERI IZZAT MIL GAYEEEE"

sab pareshaad hotay hain k yeh kia maajra hai...laiken shano ko sara mamlaa pata hota.

Asal main raz yeh hai k Shano k Abaa apni pagrii ko hi apni izzat samjhtay hain aur usay hi apni izzat kehtay hain... un k liay aisi cheez ka gum jana izzat janey k barabar hai..jab shano ghar say gaye to un ki pagri us din k baad say nahemili...bohat dhonda apnay ghar par magar nahe mili...akhir kar us ka shaq yaqeen main badal gaya k shano Abaa ki pagri lay kar ghar say farar ho gaye hai...jab unhon nay shano ko Isab Khan sahib k ghar par paya to dekha k woh besarosaman hai...to unko yahi laga k shano pagrii kahin bahir phaink aye hai....mgr shano bhi apnay baap par gaye thi...izzat almari main chupa kar ghar say farar hui thi aur almari ki chabi us k pass thi!!!

Idhar Shano k aba ko mazay aa rhay hotay hain hain aur udhar Isab Khan k ghar main sab khamoosh kharay hotay hain aur un k chehron k rung faq huay hotay hain...aur soch rahy hotay hain k yeh hua kia aur yeh kia drama tha?

Ab shano ko sab gher letay hain k smjhao k yeh sab kai tha aur usay kehte hain k jab tak woh smjhe ge nahe use jane nahe dain ge...mgr shano bhi bari chalak hoti hai hai, woh sab ko pankhey ki taraf ishara kar k bolti hai k woh dekho chiriya...sab pankhey ki taraf dekhtey hain aur shano daur laga deti hai... sab shano k pecya bhagtey hain mgr shano ki tangain bohat lambi hoti hain is liay woh galion main sab ko dodge deaty deaty gum ho jati hai.

Kafi arsay baad intelligence ki reasearch samney ati ho to poray muhaley ko pta chalta hai k woh khwaar ho rhaey thay aur apna time zaya kar rhey thay.

Idhar Shano Dogar Sabundani k sath apni zindagi par aik aur fil baney main masroof ho jati hai jsi ka naam hota hai "Izzat sajna dey". Nazakat k muhaley main ema ati hai aur woh Shano ko bhol jata hai aur ema se ishq lara bethta hai. Shano k aba apnay mulley main "chotia" k naam se mashoor ho jatey hain aur sab hansi khusi rehney lagtey hain.

2 comments:

Unknown said...

hmmmm ...hahahhaha...bohat bohat ache story hy....esy perh ker enjoy bhe kerty hain mager kafi haqeqat bhe chupi hy is main jo hota hy aj kal wohi bayan bhe kia gaya hy is main ....

Anonymous said...

hmmm not bad not bad .... a little tooo lengthy, but worth reading